Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai Kartey hain basar raat main meri tanhai
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…
Kaise jiyenge tum bin,kaash tumhe ye ehsaas to raha hota,Jo dard saha hai humne,woh kabhi tumne bhi saha hota,Bas chal diye begano ki tarah daaman chhod ke,Kam se kam ek baar ALVIDA to kaha hota.
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha