Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Mot mangu to zindgi khafa ho jati he zaher pita hu to wo bhi dava ho jati he, tu hi bata e mere dost me kya karu, jisko bhi ham chahte hai wo bewafa ho jati Hai
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..