Unhe nafrat thi humse to izhar kyun kiya.Dena tha zehar to pyar kyun kiya.Deke zehar kehte hai peena hoga.Jab pee gaye to bole tumhe meri kasam jeena hoga.
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Tanhai main akelapan saha jaayega, Par mehfil main akela raha na jaayega, Unka saath nahi fir bhi jiya jaayega, Par un k saath koi aur ho ye saha na jaayega.
Jab chaha jazbat se khele,jab chaha dil tod diya,tamam umar sath kya dete,jab beech raah me sath chod diya.unhe raas na ayi wafae meri pyar ki,shayad isliye mera daaman chod gairo se rishta jod diya.
Barh gaye kuch aur uljhan rabta karne ke baad,khud se bhi shikwa raha un se gila karne ke baaad,is se barh kar aur kya hum per sitam hoga yahan,mashwara manga hai usne faisla karne ke baad.
YE MOHABAT KRNE WALE BI AJEEB HOTE HE,KUCH KHUSHNASHIB TO KUCH BADNASHEEB HOTE HAIN,JO APNO PE VAFA LUTAYE VO AMIR TO JO VAFA SE KHEL JAYE VO GAREEB HOTE HAIN.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.