Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Tamanna To Jahan Ki Karte Hain Hum, Par Har Dil Jisse Apna Maane Woh Hamara Nahi Hota, Dariya-E-Mohabbat Mein Tufan Bhi Hain Bhawar Bhi Hain, Par Har Kashti Ki Kismat Main Kinara Nahi Hota.
Ye Theek Hai Nahi Martaa Koi Judaai Me Khudaa Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare Sunaa Hai Usko Mohabbat Duuaayein Deti Hai Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare
Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.