Roz sochti hu,aaz izhaar kar dein..Magar dar lagta hai,ki tum inkaar na kar dein,Roz dil kehta hai,keh dein dil ki baat..,Magar lagta hai tum sray aam badnaam na kar dein.
yeh zarori nahin par asa howa karta hay jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki or har moor pay rastay badal liya karta hay
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the, yaad unhe din rat kiya karte the, ab un raho se guzra nahi jata, jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Rehne de aasma zameen ki talash kar, sb kuch yahin hai na kahin aur talash kar. Har arzu puri ho to jeene ka kya maza, jeene k liye bus 1 kami ki talash kar.