Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikha kar..hoti hai chahat kya ye mujhe samjha kar..Qurbani hai pyar ka asli matlab..chhod diya sath mera bas itna bata kar.
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
suna hai.. woh Jate hue keh gaye, ki ab to hum sirf tumhare khwabon mein ayenge. koi keh de unse, ke woh wada kar le. hum zindagi bhar ke liye so jaye...
Na jine ki khushi na marne ka gam, gam hai to unse na milne ka gam, jeete hai is aas pe kbhi woh hamare kehlayenge marte nahi isliye ki woh akele reh jayenge.
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya