Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha Isiliye mujhe zinda hi maar gaye....
Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
Barsat me hum pani ban ke bah jayenge. Patchad me phool ban kar jhard jayeng. Kya hua jo aaj tumhe tang krte hain. Ek din bina bataye kahi chale jayenge.
Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.