Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Ek khalbali machi hai mere andar hi andar, sham ko tufaan se hue manzar hi manzar, kaise main chain paau aise samay ziyaad, hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar