Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Gile kagaz hi tarah hai zindagi apni, koi jalata bhi nahi aur bahat bhi nahi, is kadar akele hai raahon mein dil ki, koi satata bhi nahi aur manata bhi nahi
nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
Sabhi log to kabhi acchay nahi hotay jin say such sikha ho woh bhi sachay nahi hotay,Kyun aisa hai aithbar ke toti dehlizon par jo boht he apnay hon woh bhi apnay nahi hotay.
MERI OR UNKI BUS ITNI SI KAHANI HAI ,TOOTI HUI KASHTI RUKA HUA SA PANI HAI,EK GULAB JO UNKI KITAB MEIN DUM TODH CHUKA HAI,OR UNKO YAAD HI NAHI KI YEH KISI KI NISHAANI HAI..