AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
WOH SHAKHS KIYA HAI JO HAR ROZ SAZA DETA HAI PHIR HANSTA HAI WO ITNA K SAB KUCH BHULA DETA HAI KABHI RO DE TOU MUJH KO BHI BHOOL JATA HAI AUR PHIR BHOOL K MUJH KO BHI RULA DETA HAI.
Manzil na pa sake to kya hosla to hai Saath nahi karwaan to kya rasta to hai Uthenge kadam phir se manzil ke taraf Koi nahi saath to kya, khud pe bharosa to hai