Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai
Ek tuti hui zanjir ki fariyad hai hum,aur dunia ye samajhti hai ki azad hai hum.is ashiqi ne kya diya hai humko,kal bhi barbad the,aaj bhi barbad hai hum
Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho Who Saath choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
katra katra bhate the aansu,aur hum unhe sukha bhi na paye. isse badi wafa ki saza kya hogi,vo roye hum se lipatkar kisi aur ke liye,hum unhe hata bhi na paye...