Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Kab kaun kisi ka hota hai,Sab jhoothe rishte naate hai,Sab Dil rakhne ki baatein hai,Sab assli roop Chhupate hai,Ek baar nigahoon mein aa kar,Phir saari zindagi rulate hai.
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…