Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…
Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gum chupane ki, ab toh aadat si pad gayi hai aasu pi jane ki, kya haseen saza di hai zaalim ne dosti rakhne ki…
Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage, Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage, Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke, Her dil mein thoda sa to dard jage....
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi; Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi; Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!