Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hai, Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hai, Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate, Ki Dil Ko Zabaran Sambhale Huye Bethe Hai!
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Nae Us Par Itna Yakeen Kyon Hain Uska Khayal Itna Itna Haseen Kyon Hain Suna Hai Pyaar Ka Dard Mitha Hota Hai To Aankhon Se Nikla Aansu Namkeen Kyon Hai..
Ishq dariya hai jiska sahil nahi hota, Har dil mohabbat ke kabil nahi hota, Rota woh bhi hai joh duba ishq-e-sagar me, Aur rota woh bhi hai jise ishq hasil nahi hota…
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain