Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Socha yaad na karke thoda tadpaye unko,kisi ur ka naam lekar jalaye unko,par koi chot unko lagi to dard hume hoga,ab koi ye bataye k kis tarah sataye unko..
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi