Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Dil me kuch bacha nahi dard ke siwa, aankho me aata nahi koi aansu ke siva, Dost tu matsaath chodna mera, zindagi me kuch bacha nahi teri Dosti ke siwa
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin
Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi Hum to aapki wafa pe zinda the Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi