Hasi ne labon pe thirakna chod diya hain, khwabon ne palkon pe aana chod diya hain, nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aapne bhi yaad karna chod diya hain..
Mujhko parkhne ka nateeja kya nikla Zakhm e dil nazron se bhi gehra nikla Tod ke dekh hi liya tune aaina mere dil ka Bataa teri soorat k siva kya nikla.....
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Pal Pal Sanse Khatam Ho Rahi Hai,Zindgi Maut K Pehlu Me So Rahi Hai,Us Bewafa Se Na Puch Meri Maut Ki Wajah,Wo To Bus Zamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi hai.