Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...
Bemausam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai, sachi chahat to sada bezuban hoti hai. pyar mai dard bhi mile to kya gabrana, suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.