Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
Dil ke kareeb aa ke wo jab dur ho gaye,Sare haseen sapne chur-chur ho gaye,Humne vada nibhaya to badnami mili,Aur wo "BEWAFAI" karke bhi mashur ho gaye....