Ek sapne ki trah tume saja ke rakhu,chandni raat ki najro se tumhe chhupake rakhu,meri takdir mere sath nahi vrna zindgi bhr ke liye tume apna bnake rakhu
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.