karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad, kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat. Aaj wo hi nahin mere paas.Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha, jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha. Aaj wo hi nahin mere paas.
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?