Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.
Tuta hua shisha phir joda nahi jata,Aankh se Nikla hua aansu phir wapis nahi aata,Tum to keh ke bhool chuke ho sab kuch,Lekin humse wo pal bhulaya nahi jata
Humne Maut Rok kar bhi tera Intezaar kia,Aye Dost Tery Jhootay Waday ka Intezar Kiya,Humne jaan deny may ik pal na ganwaya, aur tumne jan lenay may bhi nakhra hazar kia