Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye
Jis kisiko bhi chaho woh bewafa ho jata hai.Sar agar jhukao to sanam khuda ho jata hai.Jab talak kaam ate raho humsafar kehlate raho,Kaam nikal jaane par humsafar koi doosra ho jata hai.
her pal gamo ki yaad me jalti hai zindgi. bas mom ki tarah pighalti hai zindgi. kya raaz hai ye isqh hua hai jab se, barbadiyo ki raah pe bas chalti hai zindgi.