Jina chahte he magar Zindagi ras nahi aati Marna chahte he Magar Maut pas nahi aati Bahut udas he Hum is Zindagi se Kismat b tadpane se baz nahi aati..
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
badal ki tarah jhum k lehra k piyenge saaki tere maikhaane me hum ga k piyenge dekhenge k aata hai kidhar se ghum e duniya saaki tujhe hum saamne bithla k piyenge
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…
Meri aakhon se 1 aasu nikal aya maine use pucha ki tu bahar kyu aya to usne kaha ki tumhare akho me koi itna samaya hai ki chahkar bhi apni jaga na le paya