Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.
Nasibon ki baat karne se taqdir nahi badalti,Dilon ke baat karne se dil nahi badalte.... Jo bewafa hai sang-dil beimaan,Unke chahne se unke dil nahi badalte..
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.