Dil se roye magar hothon se muskura baithe, yun hi hum kisi se wafa nibha baithe, woh hame ek lamha na de paye, Jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.