Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Nafrat tum kabhi na karna humse,hum ye seh nahi payenge,ek bar keh dena ki aithbar nahi hai humpe,wada hai hum phir aapke zindgi ke panne per kabhi laut kar nahi ayenge.
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the, yaad unhe din rat kiya karte the, ab un raho se guzra nahi jata, jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Mehfeel me hume wo pahchan na sake,hum unke kareeb par hume jaan na sake,bhul hi chuke thee hume to wo,aur hum thee ki unhe apne dil se nikal na sake...
Kitne Badal Gaye Hai Woh Halat Ki Tarah..Khamosh Baithe Hai Guzre Lamhat Ki Tarah..Hum Kya Un K Husn Ka Sadka Utar De..Hume Pyar Bhi Mila To Khairat Ki Tarah..
Paas aakar yun hum tum dur kyon ho gaye Pal bhar mein hi khayal kyon tinko mein bikhar gaye Teri mauzudgi ka ehsaas ab tanhayee main hota hai Jab aankon se teri yaad paani bankar nikalti hai