Roye hein buhat tab zara karaar mila he is jahan mein kise bhala sacha pyar mila he guzar rahi hey zindagi imtehan ke daur se ek khatam howa to dosra tayar mila he
kehte hai gam baatne se hota hai kam, aisa hi kabhi pele maante the hum, tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas, wo bhi baat du to rahega kya mere paas
Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi