Tumse Bichde To Mar Jaayenge Hum, Kuch Is Tarah Se To Naa Maarna Humein, Marne Ke Liye To Teri Judaai Hi Kaafi Hai, Kabhi Bewfai Se Naa Maar Dena Humein,
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani Hr 1 Se Lerna Uski Aadat Thi Purani Ham Uske Sath Chal Diye Yh Jante Hue Bi Raste Main Chor Dena Uski Aadat Thi Purani
Jab zindgi samajh aai to zindgi se door the hum marna chaha par jeene ko majbur the hum har saza kbul ki humne sar jhuka kar kasur itna tha k beksur the hum
Hum suraj nahi jo dhal jayange,Hum waqt nahi to guzar jayange,Hum mausam nahi jo badal jayange,Hum to aansu hai jo khushi aur Gum dono me nazar aayange..
Unko pyar karne ka hisaab na aaya..Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya..Hum to jaagte rahe unke hi khayalo mein..Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya
kehte hai gam baatne se hota hai kam, aisa hi kabhi pele maante the hum, tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas, wo bhi baat du to rahega kya mere paas