Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.