Parwah karo uski jo aapki parwah kare, jindgi mein jo kabhi ruswa na kare, jaan banke utar jayo uski jaan mein, jaan aap par jo apni jaan kurban ker de …
hum jis ke wajood mein khud ko talaashte hain... woh auron ki baahon ko apnaa pyaar maante hain... hum jis ka saaya ban kar saath chalnaa chahte hain.. woh humaare ehsaas ko bhi thokar maarte hain...
Bite pal wapas la nahi sakte, sukhe phul wapas khila nahi sakte, kabhi kabhi lagta hai aap hame bhul gaye, par dil kahata hai ki aap hame bhula nahi sakte...
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Sath nahi rehne se rishte nahi tuta karte, waqt ki dundh se lamhe nahi tuta karte, log kahte he mera sapna tut gaya, tuti nind hai sapne nahi tuta karte.