Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
Tanha koi na mila jispar duniya luta dete,har ek ne dhokha diya,kis-kis ko bhula dete.Apne dard ko dil mein hi rakhte hai,karte bayan to mehfil ko rula dete.
PYAAR JAB EK TARAF SE HO TOH SAZA DETA HAIN, PYAAR JAB DONO TARAF SE HO TOH MAZAA DETA HAIN, AAJ KAL KI IS DUNIYA MEIN KAUN KISKA HOTA HAIN, DAGA WAHI DETE HAIN JINPAR KI BHAROSA HOTA HAIN,
Umar Jalwo Mein Basar Ho Yeh Zaroori To Nehi Har Shabe Gham Ki Seher Ho Yeh Zaroori To Nehi Neend To Dard Key Bistar Pey Bhi A Sakti Hai, Unki Aaghosh Mei Sar Ho Yeh Zaroori To Nehi