Ye jindgi bhi na jane kitne mod leti hai,Har mod pe naye sawal deti hai,Dhundte rehte hai ham jawab jindgi bhar.Jawab mil jaye to jindgi sawal badal deti hai.
Meri tanhaiya karti hai jinhe yaad sada,unko bhi meri jarurat ho jaruri to nahi,Muskurane se bhi hota h byan Gum-E-Dil,ashk aankho me ho jaruri to nahi.
geele kagaz ki tarah hain zindagi apni, koi jalata bhi nahin koi bahata bhi nahin, is qadar hain akale rahaon mein dil ki, koi bulata bhi nahi koi batlata bhi nahin
unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi
her pal gamo ki yaad me jalti hai zindgi. bas mom ki tarah pighalti hai zindgi. kya raaz hai ye isqh hua hai jab se, barbadiyo ki raah pe bas chalti hai zindgi.
Wo samajh na sake, haal-e-dil hum keh na sake,Kaise bataye unko hum unke bina reh nahi sake,Kabhi laut ke na aane ki kasam tod di humne,Un ashkon ke liye jo aankhon se beh na sake
Khushion Ki Aarzoo Mein Mukaddar Hi So Gye Andhi Chali Aesi Ke Chahne Wale He Kho Gye Apne Bhi Mile The Kuch Iss Andaz Se Humdard Bn Ke Aye Aur Kante Chubo Gye
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,