Zikar unka hi aata hai mere fasane mein,jinko jaan se zyada chaha hmne zmane mein. Tanhayi mein unki hi yaad ka sahara mila,nakamyaab rhe jinhe hum bhulane mein
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai
AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.