Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Malum Hai Ke Tumhe hum Pa Na Sakenge.Tumhara Naam Duniya Ke Samne La Na Sakenge.Jaldi se a Jao Waqt Rukhsat Ka Hai.Tume Dekhe Bina Duniya Se Ja Na Sakenge.
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
har shakhs mere gam se hai bakhabar itnaa bheje the baaghbaan ne harbar kaante hi mujhe mujh ko to dushmanon ki zaroorat nahi rahi yaroon mere naseeb hi dushman sa mila mujhe