Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hai, Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hai, Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate, Ki Dil Ko Zabaran Sambhale Huye Bethe Hai!
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya