Tanhai main akelapan saha jaayega, Par mehfil main akela raha na jaayega, Unka saath nahi fir bhi jiya jaayega, Par un k saath koi aur ho ye saha na jaayega.
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
Har pal har lamha karte the jinhe hum yaad, kabhi sirf kabhi kabhi hoti thi jisse baat. Aaj wo hi nahin mere paas.Jiski baate soch kar apni tanhai ko bhuljata tha, jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha. Aaj wo hi nahin mere paas.
Badla jo Waqt, Gehri Dosti Badal Gai Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai
Tanha koi na mila jispar duniya luta dete,har ek ne dhokha diya,kis-kis ko bhula dete.Apne dard ko dil mein hi rakhte hai,karte bayan to mehfil ko rula dete.
mujhe likhne pr majbuur mt kr aankh bhr ayegi..kisi modd pe tanha na chod saans ruk jayegi..kya khata hai meri tu hi baata ??samjhi nahi jindagi ab tk mujhe shayad maut hi samjh payegi.