Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
ji bhar ke roye to karar paaya..is daur me kisne sachha pyar paaya..zindagi guzar rahi hai imtihano ke daur se..ek zakhm bhara nahin ki dusra taiyyar paaya.
Sabab judai ka kuch to batoo muje, Phir chahe Dil-O-Jaan se sataoo muje, Chalo yeh mana k tumhain fursat hi nahi, Magar ye Jarorri to nahi k bhool jao muje
Nikalte hai ansu jab mulakat nahi hoti, tut jata hai dil jab bat nahi hoti, apki jaan ki kasam jab aap na yaad aye, esi koi subha esi koi raat nahi hoti...
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi