Mera din teri raat se acha hoga, Mera dil tere jazbaat se acha hoga, Jis din niklegi teri doli, Ghoonghat utha ke dekhna….. mera janaza bhi teri doli se acha hoga…..
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.