bahut dinon baad aaya hai yeh deewana is dar par jaise laut ke mauj phir aayi ho sahil par main to pehle bhi tanha tha aaj bhi tanha hun kaun dega dastak is deewane ke dar par
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.
Jindagi Ka Ajab Dastoor Hota Hai, Paas Chahte Hain Jise Wo Door Ho Jata Hai, Azib Hote Hain Woh Log, Jo Tod Dete Hain Har Kisi Ka Dil, Par Jante Nahi Ki Koi _ Koi Kaanch Kohinoor Hota Hai.