Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Chand ki raton mein sara jahan sota hai, Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai, Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare, Agar kare to kisi ko juda na kare..
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin