Intezaar ka jo meetha dard diya hai aapne, mujh par bada ehsaan kiya hai aapne. Yeh hichkiyan bhi to nahi aati kambakht, jo sochu ke yaad kiya hai aapne.
Ishq sabhi ko jeena sikha detha hai, wafa ke naam par marna sikha deta hai,Ishq nahi kiya tho kar ke dekho,Zalim har dard ko sehna sikha deta hai.....--
Kar K Aankhe Nam,Kya Dikhana Chahti He Zindgi?Dekar Itne Gum,Kya Sikhana Chahti He Zindgi?Pehle Mila Kar Fir Taqdeer Me Likh Deti He Judaai,Ye Dard-E-Dil Se Hume Kya Mitana Chahti He Zindgi.
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Tum ho gham ko chupaye, mai hu sarr ko jhukaye, tum bhi chupp ho, mai bhi chupp hu, Kaun kiss se samjhaye, Ab duniya itni hai toh milna yaha kal ho na ho…