ye arzoo hay wafa ban k taray sath rahoon dharktay dil ki sada ban k taray sath rahoon meray laboon se jisay mout bhi na cheen sakay wo zindagi ki dua ban k taray sath rahoon...............
Pehli Mulaqat me kuch aisa hua ehsaas, ki hum byaan bhi na kar paaye, aakhri mulaqat me kuch to kehna hi tha unse, yehi sochte hue unhe tanha chod aaye
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !