Hume pyaar nahi tha Unhone karna sikha diya,hum bewafa nahi the Unhone bana diya,ab kya wafa kare hum unse,jab unhone kabr ki mitti me bhi zeher mila diya.
Kar chuke hai tauba ab hum dil lagane se, Kya mila siwa gum ke aaj tak jamane se, Hum beghar huye gum nahi khushi hai ye, Unko to chain mil gaya mera ghar jalane se.
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.