Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi, Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi, Kar ke mohabbat koi nahi bachega, Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.
Bite pal wapas la nahi sakte, sukhe phul wapas khila nahi sakte, kabhi kabhi lagta hai aap hame bhul gaye, par dil kahata hai ki aap hame bhula nahi sakte...
Aae dil tu mohabbat karta kyu hai,Jo karta hai to phir tadapta kyu hai,Jo baith gaya hai dil me pyaar ka dard ban kar,Woh aankho ke raaste nikalta kyu hai.
Vade karte hain, kasme khate hai, phir bhi na jane kyu log saath chod jate hai, hame to taklif hoti hai phul todne mein bhi, na jane log dil kaise tod jate hai.?