Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.
Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.
Hamare jine ka ek alagandaz hai.Ek ankh me ansu to Dusri me khwab hai.Tute hue khwabo pe kuch ashk baha lete hai.Aur Dusri aankh me fir khwab saja lete hai.