Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Raat dhal gayi, sitare chale gaye.. gairo se kya gila jab apne chale gaye.. jeet to sakte the ishq ki baji hum bhi.. par unko jitane ke liye hum harte chale gaye
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,