Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Roothna mat hamein manana nahi aata Door mat jana hamein bulana nahi aata Tum bhool jao hamein tumhari marzi Hum kya karen hamein to bhulana bhi nahi aata
sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata, par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata, khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye… Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………
Todna tute hooye dil ka boora hota hai, Jiska koi nahi uska khuda hota, Log naahak hi kisi aadmi ko bura kahte hai, Bura aadmi nahi, bura waqt hota hai!