Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
hasane ke bad kyon rulati hai duniya, jaane ke bad kyon bhulati hai duniya, baki rehti hai kya kasar zindgi me, ki marne ke bad bhi jalati hai duniya......
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.