Sab the hamare janaze k pechhe ek wo hi nahi the hamare janaze ke pichhe, kaise hote wo hamare janaze ke pichhe, hamara janaza tha unke janaze ke pichhe
Shama parvana choro apne pyar ki baat karo Maatam ka shauk choro apne yaar ki baat karo Roné se nazron ke ashka sukh gaye hain ab Patjhar ka dukh bhulo apne bahaar ki baat karo
Dharti ka gum choopane ke liye gagan hota hai, dil ka gum choppane ke liye badan hota hai, Mer ke bhi choopane honge gum shaayad isliye har laash pe ek kafan hota hai
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…